ANWAR MASOOD
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota..
Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,
Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..
Sun to sahi jahan main
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaakahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya..
No comments:
Post a Comment