NASIR KAZMI
Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush
Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se KhushJaisay Bacha Charaagh Se Khush
Jab Taaron Ki Shamain Jhilmilain
Saaqi Ne Kia Ayaagh Se Khush
Gham Chorh Gaya Jisay Jagaa Kar
Wo Dil Na Howa Faraagh Se Khush
Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush
Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee “Nasir”
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush..
Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi KabhiBarham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi
Ay Dil Kise Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab
Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi
Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi
Dil Ko Kahan Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab
Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi
Josh-e-Junoon Main Dard Ki Tugyaniyon K Saath
Ashkon Main Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi
Tere Qareeb Reh k Bhi Dil Mutmayin Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi
Kuch apna Hosh Tha Na Tumhara Khayaal Tha
Yun Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi
Ay Dost Ham Ne Tark-e-Muhabbat Ke Bawajood
Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi..
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga
Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye GaTere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga
Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga
Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai
Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga
Loog So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga
Jo Kubhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga..
Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi
Yaad Aata Hai Roz-o-Shab KoiHam Se Rootha Hai Be-Sabab Koi
Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi
Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi
Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi
Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi
Yaad Aati Hai Door Ki Baatain
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi
Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi
Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi..
No comments:
Post a Comment