NOSHI GILANI
Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta Hai
Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta HaiYe Dil Jeenay Ka Ik Taaza Bahana Chahta Hai
Roshnion Ke Saaray Manzar Jhootay Lagtay Hain
Laikin Oski aankh Ke aansuu Sachay Lagtay Hain
Ik Chaadar Sakhan Hee Bacha Kar Nikal Chalain
Rasta Milay Tou Sheher Se Baahir Nikal Chalain
Marqad-e-Ishq Pe ab aur Na Roya Jaaye
Raat Ka Pichla Peher Hai Chalo Soya Jaaye...
KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain
KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain
HamaiN Tou HukaM Hay Sarkar, ChuP Hain
.
Kahani Kuch BatanA Chahti Hay
Magar Is K Sabhi KirdAAr ChUp Hain
.
BohAt Hay BarisH-e-SunG-e-Malamet
Magar Hum Surat-e-KuhSaaR , Chup Hain
.
Abhi Tak Hay, BuhAt MehfOoz QatiL
K maQtal Kay Der-o-DewaaR ChuP Hain
.
Pata Rahzun Ka KhalQat Pochti Hay
Magar Basti Kay Pahray’Daar Chup Hain
.
Wohi Musam, Wohi ZanjEEr-e-ShaB Hay
Magar Ye Log Kyon Is Baar ChuP Hain ??
Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai
Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi HaiAur Soch Ke Aangan Mein Utarta Bhi Wohi Hai
Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaaqat Ko Na Jaana
Ab Meri Rafaaqat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai
Is Dil Ke Kharaabay Se Guzar Kis Ka Howa Hai ?
Aankhain Bhi Wohi, Hont Bhi, Lehja Bhi Wohi Hai
Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhaayi Ne Tujh Se
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai
Wo Jis Ne Dye Mujhko Mohabbat Ke Khazaanay
Baadal Ki Tarah Aankh Se Barsaa Bhi Wohi Hai..
Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri
Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani TeriKahan Gayi Ay Mere Dil Wo Khush Gumaani Teri ?
Yahan Pe Kon Andheron Mein Saath Chalta Hai ?
TU Ab Bhee Saath Mere Hai Ye Meherbaani Teri
Tujhe Khabar Nahee Hum Dekh Kar Bohat Roye
Nayi Kitaab Mein Tasweer Ik Puraani Teri
Abhe Se aablay Parnay Lagay Hain Paon Mein
Abhe Tou Door Hai Manzil Safar Kahaani Teri
Bhulaaye Baithay Hain aur Apnay Haal Mein Khush Hain
TU aake Dekh Ke Kubhi Hum Ne Baat Maani Teri...
Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mei
Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun MeiGhubaar-e-Shab Ki Udasi Mei Dhal Rahi Huun Mei
Ajeeb Barf Ki Barish Badan Pe Utri Hei
Ke Jis Ki Aag Mei Chup Chaap Jal Rahi Huun Mei
Phir Ik Charaagh Jala Shaam Ki Haveli Mein
Phir Ik Dard Se Aakhir Sambhal Rahi Huun Mei
Ye Rakh Rakhaao Usay Jaanay Naheen De Ga
Ke Apne Aap Mei Kaisay Pighal Rahi Huun Mei
Ye Ishq Sach Se Juda Kaisay Ho Gaya Jaana?
Ab Is Sawaal Se Bahar Nikal Rahi Huun Mei
Bas Ik Ishq Meri Zaat Per Saheefa Ho
Mere Khuda! Ye Aqeeda Badal Rahi Huun Mei..!!
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee
Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Hijr Ki Tamaazat Se Wasl Ke Alao Tak
Larkion Ke Jalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Baat Jaisi Be-Maainay Baat Aur Kia Hogi ?
Baat Ke Mukarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Zaim Kitna Kartay Ho Ik Charaagh Per Apnay ?
Aur Hawa Ke Chalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Jab Yaqeen Ki Baanhon Per Shak Ke Paaon Par Jaayein
Choorian Bikharnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Dard Ki Ley Maddham Tou Ho
Dard Ki Ley Maddham Tou HoDhund Kaheen Per Kam Tou Ho
But-Saazi Hum Jaan Gaye Hain
Laikin Mitti Nam Tou Ho
Umer Ka Saath Kahan Maanga Tha ?
Phir Bhee Chaar Qadam Tou Ho
Shaam Ka Raqs Bhee Ho Jaye Ga
Dhoop Ki Shiddat Kam Tou Ho
Mehfil-e-Shab Bhee Saj Jaaye Gi
Koi Shareek-e-Gham Tou Ho
Jaan Pe Ham Bhee Seh Letay
Laikin Ik Sitam Tou Ho ?
Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun ?
Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun ?Jo TU Nahee Hai Tou Phir Tera Intezaar Bhee Kiun ?
Akailay Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
Tou Phir Ay Waada-Shikan Tera Intezaar Bee Kiun ?
Ose Ganwa Ke Ab Raho Khizaaon Ki Zad Mein
Jo Wo Nahee Hai Tou Phir Mausam-e-Bahaar Bhee Kiun ?
Agar Bhulaaye Howay Osko Ek Umar Howi
Tou Phir Ye Aaj Tabyat Hai Sogwaar Bhee Kiun ?
Jab Osko Shoq Tha Raston Ki Dhool Honay Ka
Palat Kar Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhee Kiun ?
Mout Se Mukar Jaayein, Zindagi Se Dar Jaayein..
Mout Se Mukar JaayeinZindagi Se Dar Jaayein
Hijr Ke Samandar Ko
Aao Paar Kar Jaayein
Raastay Ye Kehtay Hain
Ab Tou Apnay Ghar Jaayein
Ik Zara Si Mohlat Ho
Dil Ki Baat Kar Jaayein
Sheher-e-Ishq Mein Aakhir
Kaisay Mautbar Ho Jaayein ?
Wo Palat Ke Dekhay Tou
Rung Se Bikhar Jaayein..
No comments:
Post a Comment