ads

Sunday, 2 September 2012

saghar siddiqui

SAGHAR SIDDIQUI


Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai..

Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai

Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai
Ashkon Bhari Barsaat Hai Duniya Teri Kya hai
Kuch log Yahan Noor-e-Seher Dhoond Rahe Hain
Tareek Si Eik Raat Hai Duniya Teri Kya hai
Taqdir Key Chehrey Ki Shikan Dekh Raha Hon
Aayiena e Halaat Hai Dunya Teri Kya hai
Paband e Mashiyet Hai Tanafas Bhi Nazar Bhi
Eik Juzia-e-Lamhaat Hai Duniya Teri Kya hai
Majrooh Hai Taqadas , Taqadas Ki Haqiqat
Roodaad e Kharabaat Hai Duniya Teri Kya hai
“Saghar” Mein Chalaktey Hain Samavaat Key Asraar
Saaqi Ki Karamaat Hai Duniya Teri Kya hai..

Chand murjhayi huyi kaliyan

Utha kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan,
Na tum aye tou yoon jashn-e-baharan karliya mene..


 


 

No comments:

Post a Comment