PARVEEN SHAKIR
Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii
Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili HuiiMehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii
Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ?
Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii
Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii
Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha
Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ?
Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai
Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ?
Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai
Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi HaiAbhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai
Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni
Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai
Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi
Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai
Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay
Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai..
Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota HaiApne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????
Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai
Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai
Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per
Kon Ye Haar Sa Pirota Hai
Raat Ke Bekaraan Andheray Mein
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai..
Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath
Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke SaathKia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?
Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath
Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath
Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa
Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath
Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath..
No comments:
Post a Comment