ads

Sunday, 2 September 2012

wasi sms

WASI SHAH

 


Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi
Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa ?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi
Bhulaye Kon Azyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi
Ajeeb Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot’tay Pat’tay Talaash Karti Thi
Qayaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi
Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi
Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hee Pyaaray Talaash Karti Thi
Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talaash Karti Thi
Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi
Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi
Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne ”Wasi”
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,

Main kahin bhi kisi nagar mein raha

Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,
Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,
Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,
Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,
Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,

 


 


 

No comments:

Post a Comment