dard nahe milta to dard hota hy
ab to dard sehny ki itni aadat ho gae hy faraz
jab dard nahe milta to dard hota hy..
jab dard nahe milta to dard hota hy..
TuMhArE LiyE sirf Ek KhÄwÄb
K UsNe kAhA thA “MujhE pÄnÄ TuMhArE LiyE sirf Ek KhÄwÄb hy...
Ek shakhs mery dil mein aise utar gya
Ek shakhs mery dil mein aise utar gya tha faraz…!!Jaise wo sab janta tha mery dil k rasty…
Muskura k jeena tou hum ko b aataa hai
Muskura k jeena tou hum ko b aataa hai“”FARAZ”"
Kash koi hota muskurahat k peechy dard ko samajny wala...
Zid na karo
uljhi hui zaat ko pane ki zid na karo:
jo na ho apna use apnanay ki zid na karo:
is samandar main tofaan bahot ate hain Faraz:
is k sahil pe ghar bananay ki zid na karo.
Mai Bus Aik Bar La’Jawab Howa Faraz
Mai Bus Aik Bar La’Jawab Howa Faraz !!Kise Apnay Ne Kaha Jab , Kon Ho Tum
Jaan Kese Na Deta “FARAZ”
Jab Us ne Mujh se Jaan Mangi Tu Kese Na Deta “FARAZ”Chonk Uthay Thay Frishtay Bhi Us ka Andaz-E-Dua Dekh Kar...
Sajdon Main Bhi Wo Shakhs Mujhe Yaad Aata Hai.
Main Khuda Ki Nazron Main Bhi Gunahgaar Hota Hoon Faraz.
.
.
K Jab Sajdon Main Bhi Wo Shakhs Mujhe Yaad Aata Hai...
Auron Ko Hasany K Liye
Us Ki Ankhoun Main Bhi Ab Har Wakt Halki Si Nami Rehti Hai.
Faaraz…
Jis Ki Har Bat Hoti Thi Auron Ko Hasany K Liye.
Akela Waris huun Main
Akela Waris huun Main Uskii NafratoN ka “Faraz”Jo Shaks Saare ShehR meN PyaaR Baant’ta hai…!!
ishq ne apne hi andaz ki chahat chahi
Us ne jab chahne walo se atahat chahi,hum ne aadab kaha, aur ijazat chahi,
yun’hi bekaar mai kab tak koi betha rehta,
usko fursat jo na thi,hum ne b rukhsat chahi,
husn ka apna hi shewa tha ta’luq mai “faraz”,
ishq ne apne hi andaz ki chahat chahi.!
Apni wafa ka itnaa daawaa na kar
Apni wafa ka itnaa daawaa na kar FARAZ,Mein ne rooh ko jism se bewafaai kartey dekha hai.
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaaoqazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao..
Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us NeApni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne..
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye GaWaqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga
Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga
Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga
Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga...
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho JayeinKiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein...
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Jub Bhee Dil Khol Ke Roye HongeLoog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge...
Umar bhar ka maan toota, aur kya..
Umar bhar ka maan toota, aur kya,Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..
No comments:
Post a Comment