new

Thursday 30 August 2012

sms peotry

Allama Iqbal poetry


  •   Sajdon Main Parry Rehne Sy JANAT nhi milti


          ‘*”* Dil Main KHUDA ka Hona Lazim Hai,
          *”* IQBAL *”*
          *”* Sajdon Main Parry Rehne Sy JANAT nHI milti’                                                                                     
  •   Parri Jab Apnay Gunahoon Par Nazar

          ‘Na Thi Jab Apny Haal Ki Khabar
           Dekhty Rahey Logon K Aib-o-Hunar
           Parri Jab Apnay Gunahoon Par Nazar
          To Nigah Mein Koi Aur Bura Na Raha.
          Allama Iqbal’

  • IQBAL teri QUOM ka IQBAL kho gaya


       IQBAL teri qoum ka IQBAL kho gaya.
       Mazi to sunehra hai magar Haal kho gaya.
       Wo Roub-o-Dabdaba wo jalal kho gaya.
       Wo Husn Be-Misal wo jamal kho gaya.
       Dobe hain jawabon men pr sawal kho gaya.
       IQBAL teri Qoum ka IQBAL kho gaya.
      Urte jo fizaon men the Shaheen na rahe.
      Ba-zouq na rhe
      Zaheen na rahe.
      Pakiza gar na rahe Ba-Deen na rahe.
      Wo Lala-o-Gulzar, Meh jabeen na rahe.
      Momin ka W0 Andaz-e-Bakamal kho gaya.
       IQBAL teri QUOM ka IQBAL kho gaya..!

  • sone do ager wo so rhe ha ghulami ki neend


       sone do ager wo so rhe ha ghulami ki neend…
       Ho sakta hai wo khowab azadi ka dakh raha ho…
      “Happy Iqbal Day”


  • HAPPY IQBAL DAY

     Mujh se mumkin hi nahi tujh ko samajhna ya RABB…! Jis ka banda ho Ali sa Wo khuda kia hoga. HAPPY IQBAL DAY..

    Musalmanon mein khoon baki nahin hai 

    mohabbat ka junun baqi nahin hai
    musalmanon mein khun baqi nahin hai
    safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
    k jazba-e-andrun baqi nahin hai
    ragon mein lahu baqi nahin hai
    wo dil, wo awaz baqi nahin hai
    namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
    ye sab baqi hai tu baqi nahin hai...
     

    sitaron se age jahan aur bhi hain

     Sitaron se age jahan aur bhi hain abhi
    Ishq k imtihan aur bhi hain
    Tahi zindagi se nahin ye fazayen
    Yahan saikaron karawan aur bhi hain
    Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi,
    Ashiyan aur bhi hain agar kho gaya ek nasheman
    To kya gam maqamat-e-ah-o-fugan
    Aur bhi hain tu shahin hai parwaz hai [...]
     

    Tere ishq ki intaha chahta hun


     tere ishq ki intaha chahta hun
    Meri sadgi dekh kya chahta hun
    Sitam ho k ho wada-e-behijabi koi bat
    Sabr-azma chahta hun ye jannat mubarak
    Rahe zahidon ko k main ap ka samna chahta hun
    Koi dam ka mehman hun
    Ai ahl-e-mahfil chirag-e-sahar hun,
    Bujha chahta hun
    Bhari bazm mein raz ki bat kah di [...]

    Utho meri dunya k garibon ko jaga do

      Utho meri dunya k garibon ko jaga do
    Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
    Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
    Kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
    Sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
    jio naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
    Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
    Us khet k har khosha-e-gandum ko jala do kyon [...]

    Agar chatay ho manzil tu parwaaz badal dalo. 

    Ay dost karo himat kuch door sawaira hai
    Agar chatay ho manzil tu parwaaz badal dalo...

    Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo

    ab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
    Tum Yaad Aatey Ho
    Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
    To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
    Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
    To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
    Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
    To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
    Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
    To Tumharey Labb Yaad Aaye
    Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
    To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
    Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
    To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye...

    Dekhty Rahey Logon K Aib-o-Hunar

    Na Thi Jab Apny Haal Ki Khabar
    Dekhty Rahey Logon K Aib-o-Hunar
    Parri Jab Apnay Gunahoon Par Nazar
    To Nigah Mein Koi Aur Bura Na Raha...

    Ho Sakta hy Wo Tumhari Manzil na ho.

    Kisi ki Chahat Mein Itne Pagal Na Hona.
    Ho Sakta hy Wo Tumhari Manzil na ho.
    Us ki Muskurahat ko Izhar-e-Mohabbat na Samajhna.
    Kahin ye Muskurana us ki Aaday na ho...

    Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta..

     Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta,
    Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine..

    Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai

     Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
    Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…

    Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..

    Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
    Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
    (Mirza Ghalib)
    Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
    Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
    (Allama Iqbal)
    Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
    Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
    (Ahmad Faraz)

    naheen hay na umeed Iqbal apni kasht o weeraan say

     naheen hay na umeed Iqbal apni kasht o weeraan say
    zra nam ho to ya mti baree zarhaiz hai saaqi...

    Dekh kaisi qayamat si barpa huyi

    DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay IQbaL…!
    Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye…!

    Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

    Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
    Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
    Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
    Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
    Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
    Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
    Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
    Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
    Ay dost karo himat kuch door sawera hy
    Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo…

    Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi

    Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
    Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.
    Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
    Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga. 

     

No comments:

Post a Comment

ads